शनिवार, 16 जनवरी 2010

congress ka secularism


congress party shuru se hi secularism ki rajnit krane ka daava karti aai hai stithi chae chunav k samay ki ho ya vipaksh k roop me ho ya fir satta me aane k baad ki stithi.. sabhi hi stithi me congress ne samprdayik takto k viroodh awaz buland karke aam jan ka vishvas jitne me kamyab rahi hai. party ki niti hi secularism ko darshati hai kintu bihar congress ne party ki is secular chavi ko badal hi dala . bihar congree k prbhari jagdish titler or bihar congree k adhyeksh anil sharma ne bihar rajya ki padadikhario ki suchi me lok sabha speaker k naam k sath unki jaati ka ullekh kiya jiske karan dono hi netao k khilaf dalit kranti morcha naam k sanghatan ne mamla bhi darj krwya joki party me chal rahi andruni jatigat bhedbhav ko darshati hai.ek taraf desh ki sabse badi rastiya rajnitik party jo apne aap me secular ki chaadar ode alpsankhyo ke vikas ki baat karti hain vahi dusri taraf congress me hi jatigat tor per bhedbhav dekhne ko mil rha jo apne apne aap me party ke real secularism ko prastuth kar rahi hai.........